Tu Hai Kahan Lyrics
Vocals: Ahad Khan, Usama Ali, & ZAYN
Lyrics and Composition: Ahad Khan, Usama Ali, Raffey Anwar
Verse 1
K jab main hadd se aage
Badh gaya tha aashiqui mein
Yani zindagi ko le raha
Mazak hi mein
Fir mazak hi main mil gaya
Sab khak hi mein
Choo kar aaya manzile to
Tanha tha main vapasi mein
Jaise phool tode honge
Tumne jholi bharke
Main wo phool jo ki reh gaya
Tha shakh hi mein
Jaise khwab hi main
Khwabgah aankh hi mein
Pal se pal main kya hua
Tum reh gaye bas yaad hi mein
Ek sawal machalta hai
Mere dil main kabhi
Tujhe main bhool jaon ya
Tujhe main yaad karoon
Tujhi ko sochke likhta hoon
Jo bhi likhta hoon
Ab likh raha hoon to fir
Kyu na ek sawal karoon
Main is sawal se gham to
Badal du khushiyon mein
Par inn bejan si khushiyon se
Kya kamal karoon
Par ab sawal bhi kamal,
Tu sambhaal le filhaal
Ye sawal bicha jaal
Kya main chaal chaloon
Chaal chal tu apni main
Tujhe pehchan loonga
Mai apni mehfilon mein sirf
Tera hi naam lunga
Tujhe pasand hai dheema lehja
Or bas khamoshiyan
Main tere khatir apni khud ki
Ssaansein tham lunga
Kya tere sare aansu
Mere ho sakte hai
Aisa hai to tere khatir
Hum bhi ro sakte hai
Tere khatir mere rone par
Ab tum bas hass dena ek bar
Teri muskurahat ke piche
Hum sab kuch kho sakte hai
Verse 2
Kya meri mohabbaton ka koi
Hisab nahi hai
Kya teri aankhon main mere liye
Koi khwab nahi hai
Tujhe kya hi karun ghamzada
Ab jane de
Ki tere pas mere pyar ka
Jawab nahi hai
Kitni muddate hui hai,
Tumne khat kyun nahi bheja
Ga leta hoon tere liye,
Mausiqi nahi hai pesha
Aane ki khabar hi nahi
Tere ab
Ab kya mausamon se puchu
Tere aane ka andesha
Aankhon mein aansoo nahi hai,
Kahan hai tu kaha tu nahi hai
Dil ko ye ab jan’na hi nahi,
Bas tum chale aao
Tu hai kahan,
Khwabon ke iss sheher mein
Mera dil tujhe dhundta,
Dhoondta
Arsa hua, tujhko dekha nahi,
Tu na jaane kahan chup gaya,
Chup gaya
Verse 3
Aao fir se hum chale,
Tham lo ye hath,
Kardo kam ye fasle
Na pata ho manzilon ka,
Na ho raste
Tu ho, main hoon, bethe dono
Fir, hum taron ke tale
Na subah ho fir,
Na hi din dhale
Kuch na keh sake,
Kuch na sun sake
Baatein saari woh
Dil main hi rahein
Tumko kya pata hai kya ho
Tum mere liye
Kehkasha ho tum,
Kahaniyon ki pariyon ki
Tarah ho tum
Mujh mein aa sake na koi
Iss tarah ho tum
Ho yaqeen tum mera,
Ya fir guman ho tum
Ashiyan ho tum,
Main bhatka sa musafir
Aur makan ho tum
Meri manzilon ka ek hi
Raasta ho tum
Dhoondta hai dil tujhe
Bataa kahan ho tum
Ho jahan kahin bhi,
Aao paas take aansu mere
Tham sake
Yaad aa rahe ho tum mujhe
Ab har lamhe
Aisi zindagi ka kya jo
Tum zindagi main hoke
Meri zindagi na ban sake
Sochta rahoon ya
Bhul jaun ab tumhe
Tum mil hi na sakoge,
To fir kaise chahoon ab tumhe
Tere sare khwab
Pal main jod denge
Jisme tu hi na basega,
Fir wo dil hi tod denge
Chod denge wo sheher,
Ke jisme tum na hoge
Toot jayenge makan,
Woh sare hasraton ke
Guzre pal jo sath tere,
Wo pal hai bas sukoon ke
Mil lo ab tum iss tarah se,
Ke fir nahi miloge
Tu hi tha sath maein mere,
Kaise main jiyunga akele
Taare gin gin ke hogayi hai
Subha
Tu hai kahan,
Khwabon ke iss sheher mein
Mera dil tujhe dhundta,
Dhoondta
Arsa hua, tujhko dekha nahi,
Tu na jaane kahan chup gaya,
Chup gaya
nice